Wednesday, November 24, 2010

Jazba... the flame inside

A random write up, for today's youth and those who blame the system for everything

Jazba kia hai?
Jazba hai… dil se nikli aawaz
Bulandion ko jo choo jaye woh perwaz
Jazba hai aagay berhne ki chah
Jazba manzil ki rah
Jazba kuch kerne ki khuwahish hai
Jazba woh aag, woh aatish hai
Jo tum mein, mujh mein hum sab mein hai
Kaheen gum, hum sab mein hai
Gandigi, gussa, taasub, or in jaise masail
Yeh tou kisi or ki zimedari nahin
Jab sab ko inka pata hai
Tou aakhir badlne mein kis ka kia laga hai
Jazba naam nahin sirf kehne sunnay girebaan pakrne ka
Jazba tou naam hai, khud hi kuch kerne ka
Tou Jazba jagao, aitraz choro balke kerdo khutam
Karo sirf wohi kaam or baat, jis mein ho badlne ka dum

No comments:

Post a Comment